Main Dhundta Hun
Main Dhundta Hun - Urdu Shayari
Main dhundta hun jise vo jahaan nahi milta,
Nayi zameen naya aasmaan nahi milta,
Nayi zameen naya aasmaan bhi mil jaye,
Naye bashar kaa kahi kuch nishan nahi milta,
Vo teg mil gayi jis se hua hai qatal mera,
Kisi ke haath ka us par nishaan nahi milta,
Woh mera gaun hai woh mere gaun ke chulhe,
Ki jin mein shole to shole dhuan nahi milta,
Jo ek khuda nahi milta to itna matam kyu,
Yahaan to koi meraa hamazaban nahi milta,
Khada hun kab se main cheharo ke ek junglee mein,
Tumhare chehare ka kuch bhi yahan nahi milta..
For More Shayari Updates Like our Facebook Page.. fb/goShayari