Post Views:
8,602

Fikar Kar – Urdu Shayari
Fikar kar taamir-e-dil ki woh yahin aa jayega,
Ban gaya jis din makan us din makin aa jayega,
[Taamir-e-dil – Hirdy Ka Nirman/Construction Of Heart]
[Makin – Rahne Wale]
Konsa hum roz-roz usko bulaate hai yaha,
Be-murawwat hai, magar itna nahi, aa jayega,
[Be-murawwat – Nishthur/Cruel]
Humse mil lene ka matlab yeh nahi hoga ki ab,
Har koi usko bula le, har kahi aa jayega,
Khud bhi woh chalak hai, lekin agar himmat karo,
Pehla-Pehla jhuth hai, usko yakin aa jayega,
Jakhm-e-dil to saat pardon mein chupa hoga kahi,
Aur sabke saamne daag-e-jabin aa jayega,
[Jakhm-e-dil – Hirdy Ka Ghav/Wound Of Heart]
[Daag-e-jabin – Mathe Ka Dhabba/Spot on Forehead]
Hum to samjhe the ki iss lashkarkashi se husan ka,
Kuch ilaka aur bhi jer-e-nagi aa jayega..
[Lashkarkashi – Hamla/Attack]
[Jer-e-nagi – Shasnadhin]
by: Zafar Iqbaal
