Thi Hawaye Tund Kitni
Thi Hawaye Tund Kitni-Hindi Shayari
Thi hawaye tund kitni mujhko andaaza na tha,
Kyunki jis kamre me tha me usme darwaza nahi tha,
Khoon daaman par na tha go dard tha be-intehaan,
Kyunki dil ka jakham gehra tha magar taza na tha,
Waqt badla to sabhi saathi bichadkar reh gaye,
Saath tum bhi chod doge iska andaaza na tha,
Kisme himmat thi jo mere hoshlo ko todta ,
Ye bikhar jata gamo se esa shiraaj na tha,
Dore haajir ki ye dulhan kistarah lagti hasi
Jabki chehre par haya or sharam ka gaja na tha,
Vo wafaao ka jafaao se mila dete rahe,
Kya mayank ishq ulfat ka ye khamiyaza na tha..!!
by:Mayank Akbarabaadi