Ye Fakhar To Hasil He
Ye Fakhar To Hasil He-Ghazal
Ye fakhrrro hasil he bure he ki bhale he,
Do chaar kadam hum bhi tere saath chale,
Jalna to chiraagon ka muqaddar he ajal se,
Ye dil ke kawal he ki bujhe he na jale he,
The Kitne sitaare ki sar-ae-shaam hi dube,
Hangaam-ae-sahar kitne hi khursid dhale he,
Jo jhel gaye hansh ke kadi dhoop ke tevaar,
Taaro ki khunak chaav me woh log jale he,
Aek Shamaa bujhaai to kai or jala li,
Hum gardishon duraaoon se badi chaal chale he..!!
by:-Adaa Jafri
Meanings Of Urdu Word [sahar:Dawn, khursid: Sun, khunak:Cold]