Mana Kyu Nahi Lete
Mana Kyu Nahi Lete - Hindi Shayari
Mausam ko isharon se bula kyu nahi lete,
Rutha hai agar woh to mana kyu nahi lete,
Divaana tumhara koi gair nahi hai,
Machalaa bhi to sene se laga kyu nahi lete,
Khat likh kar kabhi aur kabhi khat ko jala kar,
Tanhai ko rangien bna kyu nahi lete,
Tum jaag rahe ho mujh ko acha nahi lagta,
Chupke se meri neend chura kyu nahi lete..
For More Shayari Updates Like our Facebook Page.. fb/goShayari