Tujhe Kya Bataun
Tujhe Kya Bataun – Hindi Shayari
Hai khali yeh dil kitna yeh tujhe kya bataun,
Kar diya tune beghar hame kitna ab tujhe kya samjhau,
Tera saath chorr na chahun par is dil ko kya bataun,
Jita tha wo jiske liye use kese samjahu,
Har dhadkan mein tha naam jiska use bhul na chahun,
Par iss berukhi ka karan ae dil tujhe kya bataun,
Kar diya jisne beghar hame use kese samjhau,
Har girte aasu ko yeh kese bataun,
Woh nigahen jo apni thi kyu badal gayi ye kese samjahu,
Iss bahar mein yeh patjhar kesi use kese samjhaun..
by: Devashish